Tuesday, 20 February 2018

Chehra


Chehra ek pal yakeen..
Chehra ek pal guman..

Chehre main chupi ek pal hansi..
Chehre main chupi ek pal udasi..

Chehre m hai ek pal tishnagi..
Chehre m hai ek pal tanhayi...

Dil ki baat ek pal m bole chehra...
Ek pal m sb tode chehra...

Chehre pe ek pal m h pyar..
Chehre pe k pal m h gussa...

Zindagi ka aina h chehra..
Zindagi ka gahna h chehra...

Apni ateet se uljhi cheezo ka shringaar h chehra..
Apni gahri sachchai se ladti zindagi ka aagaz h chehra..

Pahchano toh bahut kuch..
Na pahchano toh kuch nahi hai chehra...

No comments:

Post a Comment

मुंबई की एक शाम - 2

कमरे में जाकर काया सोचने लगी कि आखिर उसकी नन्ही सी बेटी कब इतनी बड़ी हो गई उसको पता ही नहीं चला। किया का दिया यह सप्राइज़ उसको सबसे खास और याद...

शायद ऐसा होता तो कितना अच्छा होता।